Sada Deti Hai Teri Khushboo
Koi Gul Gulaab Kya Yaad Rakhun
Tere Chehre K Noor Pe Mein
Aaftaab Kya Yaad Rakhun
Sunker In Saanso Ka Saaj
Sab Geet Raag Kya Yaad Rakhun
In Aankho Mein Jhanka Hai To
Jannat Ka Khab Kya Yaad Rakhun
Jab Se Tune Dhadkan Choo Li
Saanso Ka Raaj Kya Yaad Rakhun
Peeker Dard Tere Aansu Ka
Baaki Ehsaas Kya Yaad Rakhun
Lamha Lamha Tujhmein Boya
Kal Aur Aaj Kya Yaad Rakhun
Teri Chhuan Mein Pyaar Hai Itna
Foolo Ka Taaj Kya Yaad Rakhun
Tujhe Padaa Ab Soch Rahi Houn
Geeta Puraan Kya Yaad Rakhun
Chun Li Teri Raahein Dil Ne
Aur Armaan Kya Yaad Rakhun
Hosh Gume Ye Kya Ker Dala
Sulge Savaal Kya Yaad Rakhun
Tu He Kah De Mein Hui Divani
Khud Ka Haal Kya Yaad Rakhu